Mobile me Software kaise dale - Flashing Guide


mobile me software kaise dale aur android mobile ko flash kaise kare mobile Flashing kia hai aur mobile flash kiyun karte hain, mobile flash without box karne ka Tarika. android mobile software karne kliay konse tools aur Driver use kia jate hain. is Article me app yeh sub kuch jan jain gy.

 mobile me software kaise dale

mobile me software kaise dale

mobile flash kiyun karte hain
jab hamare mobile me software ki problem aati hain, for example mobile hang hona, mobile chalte chalte rok jana aur bhi bhut problems ho skti hai,  to aise sorat me mobile me software dalna parta hai mobile me software dalwane kaliay apko shop jana parta hai who apse software dalne ka tqriban 500 wasol to kar he laite hai.

ap is post ko follow karien apko shop jane ki zarorat nahin pare ge insha allah aap khud hi easyle triqe se apne mobile me software dal skein ge ab time zai kiay bina shuru karte hai.

Mobile Flash Tool Driver

mobile me software dalne kaliay apko 3 chizon ki zarort ho gi
2) Firmware flash file
3) SP flash tool software, Samsung kaliay Odin tool hi best hai

Sp flash Tool
sab se pehle aap sp Flash tool download karein iske baad Firmware flash file download karein iskliay google par apni  mobile model ki flash file search  karien apko buht si sites mil jain gi aap kisi se download karlein



ab aap adb driver download karien download karne kaliay google me adb likh kar search karein aur download karein adb driver android mobile kaliay hai yeh 3non files zip me hongi aap extract karlein extract karne baad aap adb driver  ko install karlein.



sabse pehle aap apne mobile ki battery nicalein aur mobile ko acche trah usb se connect karlein jab aap mobile ko connect karlein ge aap ko sound sunai dega to pershan nan hon samajh lo aap ka mobile connect hogia hai ab aap sp flash tool open karien aur apni firmware flash file choose karein aur top par download button hoga uss par click karien nechai progress bar chal jai ga apka android mobile software hona shuru ho chuki hai.

mobile me software kaise dale

jab downloading complete ho jai aap ok karien aur aram se apna mobile usb se nikal leain aur battery dal kar on karien aap first time open karien ge to kuch waqt le ga aap preshan nan hon kuch hi time me apka set open ho jaiga
Note: aik bat ka khial rakhna jis time light jane wali ho uss time flashing par  mat lagana light jane par apka mobile dead ho skta hai.

friends! umeed he aap samajh gai hon ge ka mobile me software kaise dale aagar koi sawal ho to comment karna aur yeh post share zaror karna takih aur logon ka bhi bhala hoga kuch to dosron ka bhi bhala socha karo Friends post parhne ka buht buht shukria duaon me yaad rakhna. Allah Hafiz
Previous Post Next Post