What is Firmware-Firmware kya hota hai in urdu

Bilal Dhuddi


What is Firmware? Firmware kya hota hai aur kaise kaam karta hai, Firmware Basically aik electronic component hai jo k un devices me use hota hai jinko software ki madad se operate kia jata hai for example mobile, computers, clocks aur bhi buht se aysi devices hain jin me iska use hota hai aur software ko ise component me dala jata hai. 

Firmware


What is Firmware? Firmware Kia Hota hai

mobile me 2 chizon ka istemal hota hai 1software 2 hardware, hardware who hota hai jise ham hath laga skte hai replace kar skte hai aur repair kar skte hai software ko hum hath nahin laga skte aagar soft ware me koi problem ho to software hamin dobara dalna parta hai. matlab hardware body to software iski roh hai.

Firmware hardware hi ki category me hi aata hai mobile me sab component ko chalane kailiay aaik component me software dalna parta hai jise ham Firmware kahte hai

Software ki 2 types hain
1: Firmware,  2: O.S (operating system)

Firmware and O.S me difference kia hai

jaise ham aaik hi cd se window buht se computer me dal skte hai sab me same hi chale gi ya aap application ko lalo sab mobile me aaik hi chale gi isse hum O.S (operating system) kehte hai Firmware me aisa nahin hai isme me aap aaik mobile ka software dosre mobile me nahin chala skte je aap k pass Qmobile M350 hai aap us mein M99 ka software nahin dal skte  us kaliay apko M350 ka hi software hona chahia yeh hai Firmware aur O.S me Difference.
Friends! me ne apko bhuht hi simple tarika me Firmware ki information di hai umeed hai aap samajh gai hon gai aggar apko ho to  comment karna insha allah me apki help karonga agli post me hum mobile ko Flash karna sikhain ge 

Friends! nechai share buttons par click kigiay aur yeh post share kigiay takeh dosry logon ka bhi bhla ho, aagli post me milte hai tab tak kaliay  Allah Hafiz
  • Older

    What is Firmware-Firmware kya hota hai in urdu