Top 8 Secret Whatsapp Features in Urdu Hindi

Secret Whatsapp Features - Whatsapp dunya ki subse bari social sharing app ban chukki hai, is k Users me din badin izafa hota jarha hai ajj k door me shaid he koi aysa shaks ho jo mobile aur internet dastiab hone k bawajod bhi Whatsapp use na karta ho lakin buht se Whatsapp features ayse bhi hain  jo buht kum log jante  aur use karte hain.

whatsapp features

Top 8 Amazing Secret  Whatsapp Features

Is Post me maine top8 Secret Whatsapp features k bare me bataya hai jine janne k baad insha allah apka Whatsapp use karne ka experience mazeed barhe ga aur app mazeed behtar andaz me Whatsapp ko enjoy kar sken gay, yeh top8 Whatsapp features apke Whatsapp Conversation ko char chand laga dein gy aur doton k sath Chatting ka maza dobala hojay ga to chaliay jaan late hain.

Amazing Secret Whatsapp Features !

1: whatsapp broadcast
Whatsapp me yeh buht hi best feature hai, agar apne Website aur youtube channel ka Promotion karte hain ya app Affiliate marketing karte hain ya app aik he message, apne tamam friends ko send karna chahte hai to jaldi se yeh try karein kiunke  yeh feature sirf aur sirf apke liay hai.

is ki madad se app one time yani sirf one click me apna message Whatsapp k tamam Contacts par send kar skte hain, agar app Whatsapp gb use karte hain to ise trah app Whatsapp k tamam Groups me bhi apna message sirf aik click me send kar skte hain. is kliay app ko apne Whatsapp me aik broadcast Create karna hoga.


sabse pehle app top par mujood three dot par click karen is ke baad yahan se new broadcast par click karen, apke paas jitne bhi Contact save honge wo sab open hojain gy, app inhen select karne k baad neche green color k tick icon pat click karen.

is trah app ka broadcast create hojay ga ab app ne jo bhi message send karna ho wo app sirf is broadcast me send karen gy to wo automatically un tamam Contact par send ho jay ga jo apne is broadcast me add kiay thay. So Enjoy this feature!

whatsapp features

2: whatsapp chat backup
jab app wifi ya data connection on karte hain to is waqt app k Whatsapp Chats automatically google drive me backup hona start hojate hain jis se apka buht sara data zai hojata hai aur apka data bundle buht jaldi khatam hojata hai.

app ne Whatsapp Chats ko auto backup hone se rokna hai takeh apka data bundle jaldi khatam na ho, app other chats ka backup nahin rockna chahte to kum az kum videos ka backup zaror roken kiunke Videos ka size buht bara hota hai 

for example apko kisi dost ne aik  100 mb ki koi video send ki aur apne usse download kar lia lakin is se apke data bundle me se 100 mb nhi balke 200 mb kate ga, so is feature ko Disable karen!

whatsapp features

 3: Auto Media download
App k Whatsapp par jitne bhi Multi media Messages (Images, Videos, Documents, Audio ) aty rehte hain, wo automatically download hote rehte hain jis se aik to apka data zai ho rha hota hai dosra Woh apke storage me buht se jaga ghair late hain,

Auto media Download ko Disable karne k liay sabse pehle app three dot par Click karen, setting me jain, Data and Storage usage par Click karen, media Auto Download me apko 3 options milen gy "When using mobile data, When Connected on Wifi, Data roaming

Last wale option par already no media hoga to app ne pehle 2 options par bhi no media select karna hai, is kliay app ne pehle options par click karna hai aur yahan par jo bhi option checked hon app ne un ko unchecked karke ok dena hai,

ise trah app dosry option ko bhi no media par select karen, ab app k multimedia messages automatic download nhi hon gy. I hope this Feature helpful for you.

whatsapp features

4: Blue tick
App ko koi dost Whatsapp par message send karta hai, jab app use read karte hain to apke dost k pass blue tick ajata hai jis se apke dost ko pata chal jata hai k app ne woh parh lia hai, 

agar app chahte hain k app message bhi parh len aur use pata bhi na chale k apne woh message parh lia hai to app yeh feature zaror azmain. 

Also Read this:
is kliay app three dot par click karen, setting me jain, account par click karen, privacy me jain, yahan par sabse neche apko "read receipts" ka option nazar ayga app is par check mark laga den, ab tick mark blue nhi hoga aur kisi ko bhi pta nhi chale ga k app ne us ka message parh lia hai ya nahin.

whatsapp features

5: Last seen 
Koi bhi banda apke Whatsapp Conversion ko open karta hai to apke last seen ko dekh kar use pata chal jata hai k app akhri baar kub, kis date ko aur kis waqt Whatsapp par ay thy,

App chahte hain k kisi ko bhi pata na chale k app kis waqt Online hote hain, to is kliay app setting me jain, account par click karen, privacy me jain aur "last seen" Par click karen,

Yahan par 3 option show honge "Everyone, My Contact, No Body" to app no body ko select karen. ab koi bhi nhi dekh pai ga k Whatsapp par last seen app ne kis waqt kia tha. 
This Feature importent for you.

whatsapp features

6: Custom size emoji 
Whatsapp me yeh buht best feature hai, app kisi dost ko emoji send karte honge to woh buht chote size me send hoti hogi,bilkul chohe(mouse) ki  trah, lakin app chahen to ise "donkey size" matlab buht bara karke bhi send kar skte hain, 



is kliay app sabse pehle apne dost ka Conversion open karen jis ko app emoji send karna chahte hain, is k baad camera k icon par click karen, camera par finger rakh kar "capture" karen, top par mujood emoji k icon par click karen, jo emoji app send karna chahte hain wo select karen,

ab finger ki madad se ise zoom karen jitna bara app karna chahte hain aur neche jo likhna hai wo likh kar send karden, lejia donkey size... sorry, full image size emoji apke dost ko send ho chukki hai.


whatsapp features

7: Clear all chat in WhatsApp 
App ne Whatsapp par groups join kar rakhe hain to apke Whatsapp par buht ziada messages ate honge aur apka Whatsapp messages se bhar jata hoga jis ki waja se apka mobile slow hojata hoga ya garam hone lagta hoga,

Is kliay apko apne chats clear karne parte honge, agar app aik aik chat ko clear karen to is trah apko buht time lag jai ga lakin is feature ki madad se app only five scent me apne all chats ko clear kar skte hain, 

Sabse se pehle app settings me jain, "Chats" par click karen, Chat history me jain, clear all chats par click karen aur clear all messages par click karden. Whatsapp se apke all messages delete ho jain gy.



whatsapp features

8: Bold Or Italic On WhatsApp
Whats app me app text ko Bold ya Italic bhi kar skte hain, is ka triqa buht hi simple hai.
Text ko bold karne k liay text se pehle aur text ka baad star (*) lgain, For Example= *Hello* .
Text ko italic Karne k liay ise trah underscore (_) lagain, Example=  _Hello

in Whatsapp features  me Yeh buht he best feature hai.

whatsapp features


I hope apko yeh  Whatsapp features Pasanad ay honge, agar pasand ay to is post ko share zaror karen take apke dost bhi amazing Whatsapp features se faida utha sken.

Agar is Post k mutaliq koi sawal ho to neche comment box me comment likhein.

Video For Amazing Whatsapp Features



Previous Post Next Post