Top 6 Cool tricks for Facebook Messenger you will enjoy this

Facebook messenger naam to suna he hoga, nhi yaar app to ise use bhi karte honge, kon hai jo ajj k door me Facebook use nhi karta, jo facebook use karta hai wo messenger to use karta he hai aur jo messenger use karta hai zarori nhi k wo tharak bhi karta ho.

wase facebook messenger aur tharak ka choli daman ka sath hai, ise messenger ka sahara late howe to app larkion ko hello, hi, i love you bol rahe hote hain lakin yeh nhi jante k parde k pechy larki nhi apka bhai betha hai, bilkul apki trah ka thaarrkii... Sorry, 

kia karen yaar tech ka topic buht boring hota hai is me kuch mirch masala add na kia jai to bande ka boriat se bura haal hojata hai.

aik zarori baat muslim bhaion k gosh guzar: (yaad rakhna! hamare pyare Nabi Muhammad (saw) ne kafir ki beti k sar par apni chadar mubarak rakh kar hamen dars dia hai k Aurat ki hamesha izat karna chahe wo kafir ki beti he kiun na ho)

Facebook Messenger

Amazing Cool Tricks For Facebook messenger 

chaliay ab barhte hain apne topic ki traf, is post me, main facebook messenger k 6 cool tricks k bare me bataun ga jise janne k baad insha allah apka messenger use karne ka experience barhe ga aur app mazeed behtar indaz me messenger ko enjoy kar sken gy. yaad rakhna yeh cool tricks larkian bhasane ki nhi balke messenger ki hain.

Top 6 Useful  Facebook messenger's Cool Tricks

1: Secret conversion 
Messenger par app kisi dost k sath secret chat karna chat hain aur app chahte hain k ap ka message us k elwa koi dosra na parh ske to app secret conversion ka use karen.

is kliay sabse pehle ap apne dost ka conversion open karen, top par mujood (i) par click karen> go to secret conversion me jain, yahan par jo bhi message app ne send karna hai wo type karen aur sath me apko clock ka icon nazar ay ga app us par tape karke time set karen, jo time ap set karen gy wo poora hone par apka message ayse ghaib ho jai ga jase gadhe k sar se seingh

For example app 1 minute set karen gy to jab bhi apka dost yeh message read kare ga, us k theek 1 minute baad apka message automatically ghaib ho jai ga.



2: Messenger Games
messenger par app apne doston k sath live games bhi khel skte hain, sabse pehle app apne dost ka conversion open karen, emoji me jain, jo game app khelna chahte hain uski emoji send karen for example app basketball khelna chahte hain to basket ball send karen.

send hojane k baad is par double tape karen, apki game star hojai gi aur jitne poin app karen ga wo apke dost ko send hojain gy, wo khele ga to is k point app dekh saken gy. So enjoy the games!

3: Barcode Scan
messenger par apko kisi friend ka conversation search karne par bhi nhi mil raha to app us ka barcode scane karke us ka conversion open kar skte hain iskliay app ne sabse pehle apne dost se messenger ka barcode lekar gallery me save kardena hai, uske baad messenger ko open karen.

top par mujood profile icon par click karen, yahan par apka apna bar code show hoga app is par tape karen.

apka barcode open hojai ga to app is ko hold karen, apke samne 2 option show honge, Save image and share image, ap kisi dost ko apna barcode send karna chahte hain to app yahan se share image par click karen

 apne dost ka barcode scane karne kliay right slide karen ya "scane code" par click karen, apka camera open hojai ga aur neche dot ki sorat me menu bar show hoga us par click karen aur gallery se apne dost ka barcode choose karen, apke dost ka barcode chand second me scan hogai ga aur apke samne us ka conversion open hojai ga.
 I hop this cool Trick helpful For You


Also Read:


4: Nick Name Change
Messenger par app kisi dost ka real name chupana chahte hain to app uska nick change kar skte hain, iskliay sabse pehle app apne dost ka conversion open karen, (i) par click karen, nicknames par click karen.

yahan se app apna nickname bhi change kar skte hain, apne dost ka name change karne kliay uske name par karen aur uska jo bhi name chahen wo likh kar set karden, ab uske conversation me yahi name show hoga jo app ne set kia hai aur usko bhi pata chal jai ga k app ne uska nickname change kar dia hai. This Trick Helpful For You?



5: Username
Messenger par user name add ya replace karne kliay sabse pehle profile icon par edit username yahan par apna username type karen aur available hone ki sorat top par mujood tick par click karen. 

lijiay apka custom user name add hogia hai aur is k sath par bhi apka use name add ho chukka hai aur apki fb profile ka link bhi short chuka hai,for example mera user naam "bilaldhuddi" hai to meri facebook profile ka link hoga www.fb.com/bilaldhuddi. 
So apni profile ko professional banay.

6: Emoji change
Messenger par App kisi friend ka conversion open karte hain to neche right side me aik like emoji laga hota hai jis ko press karke app apne dost ko like emoji send kar skte hain, app yeh replace karke yahan par koi dosra emoji bhi laga skte hain jo app ziada use karte hon,


sabse pehle apne dost ka conversion open karen (i) emoji par click karen, yahan sab k sab emoji show hojain gy app jo lagana chahen is par click karen, lejiay apka emoji replace ho chukka hai.

I hope apko messenger k yeh cool tricks pasand ay honge, Like kijiay, share kijiay aur agar apko messenger k in cool tricks ko use karne me koi deqat ay to comment Kijiay. 


Previous Post Next Post