5 Best Video Editing App for Android 2021

best video editing app for android - Agar apka Youtube channel hai aur aap apne channel par video upload karne kaliay professional video editing karna chahte ya phir wase apko video editing ka shoq hai to is post me main aap ko android ka top 5 best video editing app suggest karon ga jisse na sirf aap video edit kar pain gay balke video ki computer trah professional editing apne android phone me kar skte hain wo bhi buht asan tarika se.

play store par buht se video editor available hain lakin unme se best apps ko search karna buht mushkil hai, lakin main jo video editing app apko batane wala hon wo professional editing kaliay subse best hain, sab barre youtuber inhe apps ka use karte hain.
Top 5 Free Video editor for android

5 Best Video Editing Apps For Android

1:KIneMaster apk
android ka all video editor me se kinemaster no.1 app hai, isme buht sare tools available hain jinke help se aap jis trah chahen video edit kar skte hain. buht se log computer ya laptop hone ka bawajod bhi kinemater ka use karte hain. kinemaster me video edit karne kaliay apko iski thori buht jankari hone chahiay, youtube par kinemaster ki buht se videos available hain apko 1 ya 2 video me iski mukamal jankari mil jaygi.

Play store se kinemater install karne ka baad apko 2 problems ka samna karna par skta hai, aik to apki video me kinemater ka watermark ayga jo apki ki video me bilkul nhi acha nhi lagata dosra yeh ka shaid apki device video layer support na kare lakin tension ki koi baat nhi iska solution bhi mera paas hai, is link se jo kinemater aap download karen gay usme na to watermark ayga aur video layer bhi work kare ga. So Enjoy This.

kinemaster video editor apk download
Download                        Go to Playstore

2: Cyberlink Power Director apk
Yeh bhi buht kamal ka video editing app hai, isme bhi aap professional video editing kar skte hain, isme green screen ya video ka background remove karne kaliay chroma key jaise tools available hain aur iske sath he wo sub tools available hain jin se aap professional video editing kar skte hain, iske elawa iski sabse barri khobi yeh hai ka isme aap 4k me bhi video export kar skte hain. isme bhi watermark ka masla hai lakin me koshis karonga ka koi aysa link add karon jisse yeh download karne se watermark na ay.

cyberlink power director apk download
Download                     Go to Playstore

3: FilmoraGo for Video Editing
Yeh bhi professional video editing kliay best app hai, isme bhi apko wo tamam tools mil jate hain jinse aap asani apni videos edit karskte hain isme aik theme ka option hai jisse apply karne se apki video ka look tabdeel hojai ga aur apki video buht amazing look dega, iski sabse achi baat yeh hai ka isme apke video par watermark nhi ayga.


filmora go video editor apk download
Download                Go to Playstore

4: WizMato Video Editor apk
wizMato android mobile kliay aik best video editer hai, isme apko buht sare filters, themes, music, effects mil jate hain jinke help se aap apni videos ko ache se edit kar skte hain. Wizmato me amazing effects ka sath video me text bhi add kar skte hain, yeh app aap zaror try karen mujhe umeed hai apko kafi pasand ayga, yaad rahe ka isme kuch features paid hain.

wizmato video editor apk download
Download                     Go to Playstore

5: Action Director Video Editor Apk
Action Director me aap apni video ko cut aur trim karskte hain, video me effect dal skte hain, video ki seed fast ya bhir slow kar skte hain aur video ka reverse ya bhir repeat karskte hain, iske elawa isme aur bhi features mil jate hain.

Download                     Go to Playstore


I Hope apko top 5 best video editing app for android ache lage honge aur aap kliay kafi useful honge, agar apko yeh post achi lage to esse social media par share zaror karen takeh dosry logon ki bhi help ho ske, koi sawal hoto comment karen, Duaon me yaad rakhiay ga- Allah Hafiz

Previous Post Next Post