is Post me Top 10 android apps ka bare me jane gay jo aap kaliay kafi useful ho skte hain, is waqt android Dunya me subse ziada use hone wala mobile operating system hai ajkal jisse dekh wo android mobile ya phir best android apps ka bare me poch raha hai,
2: FlySo apk
3: App Browser Apk
4: CamFind
5: Clock Secret Photo Video Locker
6: Bolo apk
7: Cake Browser
8: Reply apk
9: RGB Animate Mechanical Keyboard Apk
10: N Launcher Apk
play store par daily hazaron apps upload ki jati hai lakin unme aksar bekar aur fake hoti hai, is post me main apko android ki top 10 apps ka bare me bataya hai jo apke kaam aaskti hain, so is article ko completely read kijiay, in Apps ko aap free me Download karskte hain
Top 10 Best Android Apps Free For 2019
1: DiskDigger Apk
yeh aik recovery app hai jo ka apke deleted photo recover karne me help karti hai example agar apke kuch important photo ghalti se delete hogai hain to aap is app ki madad se easily apne photo recover kar skte hain, photo recover karne kaliay isme apko 2 option mil jate hai Basic scan aur full Deep Scane, Basic scan me root ki zarorat nhi hai lakin deep scan kaliay apko apna mobile phone root karna parre ga. wase Basic scan me bhi apka kaam hojaiga.
2: FlySo apk
Yeh buht he amazing app hai iski help se apne 3 social networks ko use karskte, yeh aik chote size ki app hai but iska kaam buht barra hai matlab ye 3 apps ka kaam karti hai, esi aik app me app facebook, instagram aur twitter aik sath chalay skte hain, aap is app ko bilkul free use karskte hain. So isko zaror try kijiayga.
3: App Browser Apk
yeh buht Best app Browser hai isme Available tamam apps aap bagher Download kiay use karskte hain, android mobile me hamari sabse barri problem hoti hai space ki, mobile ziada app install karne ka karen aik to hamare mobile ki space kum par jati hai aur dosra hamara phone slow hojata lakin is aik app ki madad se app jis app ko chahen search karke bhger download kia use kar skte hain.
4: CamFind
yeh basically aik search engine hai lakin aap agar apko kisi cheez ka bare me nhi pata ka yeh kia hai to aap is app ki madad se easily pata laga skte hain. jab bhi aap is app ko open karen gay to camera open hojai ga apne uss cheez ki aik photo pick karni hai jaise he aap photo pick karen gay to yeh usse detect kare ga aur apko bata dega ka yeh kis cheez ki photo hai.
5: Clock Secret Photo Video Locker
Dekhne ko to yeh aik clock app hai lakin iska kaam kuch aur hai, iski madad se app apne kisi secret photo ya phir video ko hide karskte, jab aap is app ko open karen gay to apke samne aik clock show hogi apne password ka toor par isme time set karna hai aur time set karke ispar click karen gay to aik private gallery open hogi jisme aap apne secret photo/video dale skte gay. koi is app koi open kare ga to wo yahi samjhe ga ka just yeh aik clock apk hai.
6: Bolo apk
Bolo app ki madad se aap apne phone ko voice ka zariay command de skte example agar apke phone par call arahi to app accept bolen gay to call accept hojai gi call received karne kaliay jo bhi aik bar bol kar jo bhi command set karen gay to hamesha usi par call received esi trah aap speaker kaliay bhi j command add karen gay wo bolne par speaker on hojaiga, iske elawa isme aik aur best feature hai ka apko kisi ayse bande ki call ay hai jo aap recived bhi nhi karskte aur reject bhi nhi karskte to iskaliay is app ki setting me apne aik message set karna hai jab bhi apko koi ayse call ay to aap just sms bolen gay to wo message uske pass chala jay. iska elawa isme aur bhi buht amazing, amazing feature hain, aap esse zaror try karen.
7: Cake Browser
Basically yeh aik browser hai lakin yeh aik alag taype ka browser hai isme aap jo bhi cheez search karo gay to isme buht sare page aik sath open hojain gay aap slide karke uske related results aik sath iske mukhtalif sites par dekh skte hain is trah apka buht sara time bach jata hai.
8: Reply apk
Reply app ko google ne banaya hai, apko jo bhi message ayga yeh apko uska reply suggest kare matlab us message ka reply me apko kia likhna hai yeh apko reply app he batay ga is ka elwa agar kisi message me argent ka word likha hoga to apka phone vibarate kare ga jisse apko pata chal jaiga ka koi argent message hai.
mechanical keyboard aik buht he Amazing keyborad hai iska look bilkul computer ka keyboard ki trah he hai aur iske voice bhi bilkul wasi hai jis trah pc ka keyboard ka button prees karne se aati hai.
10: N Launcher Apk
agar aap android ka older version use kar rahe to yeh app aap zaror install karen kiunke android ka old verison me features aur widgets etc ache nhi hote wo apke mobile thore ajeed lag rahe hote hain yeh app apke phone ko android ka latest version ka look dega
- Top 5 Best Video Editor For Android
- Top 10 Photo Editor For Android
I hope apko Top 10 android apps kafi pasand ay honge aur apkaliay kafi helpful honge agar yeh post pasand ay to social media par share zaror karen takeh dosry log bhi esse faida utha sken aur agar is post ka related koi question hoto comment karen, duaon me yaad rakhia ga. Allah Hafiz