Google Adsense Kya hai aur kaise kaam karta hai

Bilal Dhuddi
Google Adsense Kya hai? internet se online paise kamane ka subse best Source Google Adsense he hai google Adsense se log monthly lakhon Dollar kama rahe hain, aap bhi google Adsense ka bare me janna chahte hain aur esse paise kamana chahte hain to yeh post mukamal aur dhehan se parhe isme main detail ka sath bataon ga ka google Adsense kya hai, isse paise kaise kamaye, Google Adsense se earning kaise hoti hai aur isse kitne paise kama skte hain iske elawa google Adsense ka bare me completely hindi me jankari kliay yeh post read karen.
Google Adsense kya hai

Google Adsense Kya hai aur Kaise kaam karta hai

Google Adsense CPC (click per Cost) Advertisement program hai, Google Adsense ko Google ne banaya hai Adsense is waqt ka sabse ziada use hone wala online earning source hai, isse buht se log achi khasi income generate kar rahe hain, isme per click aur per impression revenue ka hisab se earning hoti hai.
google Adsense, Adword ka zariay advertiser se ads lata hai aur phir unhe publisher ki website par show karata hai phir un website ka visiter ad par click karta hai to Adsense advertiser se iske paise lekar 68% website ka owner ko deta hai aur 32% google khud rakh leta hai example agar apki website par Adsense ka ad lage howe hain aur kisi ne ad par click kiay manlo advertiser uska 1$ dia hai to google usme se google 32% yani 0.32$ khud rakhe ga  aur baqi ka 68% yani 0.68$ apko dega.

yaad rahe ka jo apne business ya website ko promote karne kliay dosry website par apna add show karata hai usse advertiser kaha jata hai, aur jiski website par ad show karwaya gia hai usse publisher kaha jata hai.

Google ki trah aur buht sare ad network hain jaise media.net, biadvertiser, Chitika, Adnew, infolink, popads, etc. lakin in sub mainse google Adsense he best hai, kiunke yeh sabhi ad networks se zidad pay karta hai, aur isme aap har trah ads apne website me show kara skte hain, subse zida publisher esi ka use karte hain.

Google Adsense se Earning kaise hoti hai aur Adsense se hum kitne paise kama skte hain

google Adsense CPC par kaam karta matlab yeh ads per click ka paise deta hai jaisa ke maine uper btaya hai ka click par advertiser ki traf se de jane wali raqum ka 32% khud rakhta hai aur 68% publisher ko deta hai, aap shaid soch rahe honge ka is trah to koi bhi khud click karke ya doston se click karwa kar buht se paise kama skta hai to main apko bata don ka is trah se koi bhi google dhoka nhi de skta aur is kliay google ka rouls bhi buht sakht hain jo bhi esi harkat karega uska adsense account disable kar dia jayga.

google Adsense se Hum Kitne Paise kama skte hain

google se aap kitne paise kama skte hain yeh apke blog traffic, blog niche, Ad placement, high paying keyword aur apko zida traffic kis country se milta hai par depand karta hai, matlab subse pehle dekhna hai ka apke blog par daily kitne traffic aati hai, apke blog ki niche/topic konsa hai, aap ne blog par kahan kahan ads lagay hain, aapne content me high paying keyword kitne use kiay aur apko traffic kis country se milta hai.

har country ka cpc mukhtalif hote hain agar apko ziada traffic Pakistan aur India se milta hai to apki earning kum hogi aur apke blog par traffic us se aata hai ya other high cpc country se milta hai to apki earning zida hogi.

keyword ka hisab se CPC mukhtalif hota hai, apko aik click ka 10$ bhi milskte hain aur aik click ka 0.01$ bhi mil skta hai aap CPC ko high paying keyword use karke increase kar skte hain.

farz karen apke blog par 10000 traffic hai aur 500 ads par click howa hai aur apko google ne per click pay kia hai 0.50$ to apki CPC hogi 0.50$ aur 500 click par apki earning hogi 250$.

Adsense paise kamane kliay hame kya krna hoga

AdSense se paise kamane kliay apko apni website banani parre ge jo ke aap bilkul free me bhi bana skte hain aap apne intrest ka mutabiq topic select karen phir apne website par posts karte rahen, aapne apne blog ki ache se SEO karne hai takeh google se aapke blog par traffic ay, jab apke website 6 months purani hojay aur apke website par 300 se 500 tak traffic aana start hojay to aapne adsense kliay apply karna hai, 7 din me apka Adsense approved hojay ga aur apke website par ads show hone lagen gay.
Yaad rahe ka aapne apni website par 100% unique aur khud ki likhi howi posts publish karni hai, agar kisi ki post copy karke apne blog par publish karen gay to apka Adsense account approved nhi hoga aur aap google Adsense se earning nhi kar sken gay, iske elawa apne apne blog par koi acha sa responsive theme install karna hai aur SEO par Pora focus karna hain aur quality content likhna hai.

I hope apko yeh post Achi lagi hogi aur ab aap jaan gay honge ka google Adsense kya hai aur isse paise kaise kamaye jate hain, agar is post ka related koi sawal ho to comment kijiay, apko yeh post pasand aay to social Media par zaror share kijiay takih dosry log bhi isse faida utha sken. Duaon me Yaad Rakhiay ga. Allah Hafiz.