Computer Kya Hai? What is PC in Hindi Urdu

Bilal Dhuddi
Computer Kya hai? Ajj ka door me computer ko kon nhi janta lakin buht se log computer ka sirf naam tak jante hai esse aagy unhe koi pata nhi hota ka computer kya hota hai, is post me main detail ka sath computer bare me bataon ga ka computer kya hai, computer kya kaam karta hai, computer ka parts konse hain aur computer mataliq buht se baaten janne kliay yeh post mukamal parhe.


what is a computer in Urdu

Computer Kya Hai?

Computer aik Electronic aur Digital Device hai, computer ka mani count karna ya shumar karna hai, Sadion pahle computer ki shuruat count karne wale aalat (ABACUS) se howi lakin pechle salon me technology ki taraqi ka karan computer aik ayse tez aur taqatwar aale ka tor par samne aaya hai hai jisse apne rozmara ka kamon ki pedawar ko barhaya ja skta hai, ab alectronic technology ki taraqi ne woh kaam mumkin bana diay hain jiska chand sal pahle tak tasawur bhi nhi kia jata tha.
computer aik ayse device hai jo insani hidayat par amal karti hai aur exact result dati hai, Computer 2 Chezon Hardware aur software se mil kar bana hai.

Hardware aur Software kya hai?

hardware aik ayse chez hai jisse chawa ja skta hai, hath me uthaya ja skta aur hathon se banaya jata hai jabke Software esse mukhtalif hai esko nahi dekha jaskta hai aur nahi esse hum hath laga skte hain, yeh hathon se nahi banaya jata yeh insani demagh se banta hai matlab yeh insan ki soch se banta hai. hardware ko banae kliay kuch products ki zarorat parti hai jabke sofware ko banane kliay programming languages ka use kia jata hai, asan word me kahon to hardware body aur sofware uski roh hoti hai.

Parts of Computer in Hindi

1: Central Proccing Unit (CPU): Yeh Computer ka Main Part hai jo computer ka Pore system ko chalata hai.
2: Monitor: yeh aik aysi device hai jo computer par hone wale tamam kaam hame dekhati hai.
3: keyboard: Yeh aik aysi input device hai jisse hum computer me maloomat ko write karte hain
4: Mouse: Yeh bhi aik input device hai jisse hum hathon ki madad se computer par kaam karte hain.
5. JoyStick: yeh bhi aik input device hai, iski mdad se games khali jati hain.
6. Printer: yeh aik output device hai jo computer me moujood maloomat ko paper par print karke hum tak punchati hai.
7. Multi Media Projector: yeh aik ouput device hai jo ziada tar mettings me use ki jati hai esse computer par kia jane wala kaam barra karke dekhaya jata hai.

Data kya hai?

kisi nhi trah ki maloomat ko Data kaha jata hai chahe woh image ho, Numbers me ho ya phir word me esse Data he kaha jaiga.


Storage Devices kya hain? computer storage devices types

Storage Devices woh Devices hoti hain jinme ham data ya maloomat ko save kar skte hain, Computer me 2 type ki Storage Devices hoti hain: 
1. Primary Devices  2. Secondary Devices.


 Primary Devices 
Primary Devices 2 hain,
1. RAM (Random access Memory) 
jab hum computer par kaam kar rahe hote hain to data arzi toor par RAM me mahfoz hota rahta hai, yeh data us waqt tak mahfoz rehta hai jab tak computer Chal raha hota hai jaise he computer of hota hai yeh data khatam hojata hai.

2. ROM (Read Only Memory)
Yeh aik aysi memory hoti hai jisse computer kaam karta hai aur isme software hota hai yeh input aur output devices ko control karta hai, isme aik bar isme koi bhi program sirf aik bar dala jata hai phir isme koi tabdeli nhi ki jaskti.

 Secondary Devices 
Secondary Devices woh Devices hoti hain jinme hum ziada se ziada data ya maloomat store kar skte hain aur zarorat parne par usse hasil skte hain. Computer Ki Secondary Devices, Hard drive, pen drive, disk etc hain.
Mujhe umeed hai ka apko yeh maloomat achi lagi hogi aur ab app jaan gay honge ka Computer kya hai, yeh post pasand ay to social media par share zaror karne take dosry log bh esse faida utha sken, agar koi sawal hota comment kar skte hain main insha allah apko jaldi answer dane ki koshish karon ga. Duaon me yaah rakiay ga - Allah Hafiz.
Tags