Digital Marketing Kya hai? Online marketing in Urdu Hindi

Digital Marketing kya hai? Ajj ka modren door me Jadeed Technology ne insan ka kaam buht asan kardia hai ab business karna aur paisa kamana buht asan hai lakin iskliay talented hona buht zarori hai, ab aap apne talent ka use karte howe ghar beith kar business kar skte hain aur achi khasi income generate kar skte hain. 
aaj ka hamara topic Digital Marketing ka related hai isme main apko bataon ga What is Digital Marketing, Digital Marketing Kaise kare aur Digital me Sabse ziada use hone wale compunent konse hai. So Read the Complate Article to increase Your Knowlege.

Digital Marketing Kya hai

Digital Marketing Kya hai - What is Digital Marketing in Hindi

Digital Marketing ko Internet marketing, web marketing ya online marketing bhi kaha jata hai, Digital Devices ( Computer, Laptop, Mobile, Tabelets) ko use karte howe internet ki help se jo business ya marketing ki jati hai usse he Digital marketing kaha jata hai.

isme hum apne producs ko apni website ya bhir social media par promote karte hain buht se log barre ecommerec Websites jaise Daraz, Alibaba, Amazon, Flipcart etc. par apne products ko sell karke paisa kamate hain.

iske elwa apni website banakar apne business ko promote karna ya phir facebook page par apne products ko promote karke paisa kamana yeh sub Digital marketing me aata hai, ispar aap Individually bhi kaam kar skte hain. Digital marketing me buht se compunent hain unme se hum subse popular kuch compunents par baat karte hain.

2: Search Engine Marketing (SEM)

(SEO) Search engine optimization kya hai

SEO basically search engine jaise google, yahoo, bing etc. me apne website ko rank karwane aur search engine se traffic increase karne kliay use kia jata hai, SEO aik buht barri filed hai, ispar already detail ka sath aik article likh chuka hon aap woh read karen. 

(SEM)  Search engine Marketing Kya Hai

SEM ka full form Search engine Marketing hai, jis trah SEO search engine se traffic lane kliay use hota hai usse trah SEM bhi search engine se traffic lane kliay use hota hai lakin SEO se free me search engine se traffic increase hoti hai aur SEM search engine se traffic lane ka paid method hai.

Search engine marketing karne kliay apko google adword ka through advertisement karni parti hai jisse apki website ka google me ad show hota hai jisse apki traffic increase hoti hai, agar aap website par koi product buy kar rahe hain to apke sell me bhi izafa hoga, aapne aksar dekha hoga ka jab bhi aap google me search karte top par apko 1 ya 2 ads dekhne ko milte hain, yeh advertisement he SEM kehlati hai. 

Affiliate Marketing Kya hai

Affiliate Marketing se dosron ka products ko promote karke paise kamaye jate hain, buht se eCommerce website Affiliate program provide karti hain jisse join karne ka baad aapne unke products ka Affiliate link generate karke apne website ya social media par share karna hota hai.

ab apke link se koi bhi banda unka product buy karta hai to usme se apko percentage ka hisab se commission milta hai, Affiliate Marketing par Already detail ka sath aik post likh chuka hon aap woh read karen.

Email Marketing Kya hai

Email ka zariay apne business ko promote karna email marketing kehlata hai, Email marketing ka zariay aap apne website ki traffic increase kar skte hain. aapne dekha hoga ka aksar website par news latter ka aik box hota hai jisme aap apna email add karke subscribe karte hain to jab bhi us website par new post publish hoti hai apko inbox me uska notifcation mil jata hai aur aap apne inbox se hi unke website ko visit kar skte hain.

isse trah website ki traffic increase hoti hai, Email marketing par bhi me aik detailed post likh chuka hon aap woh read karen.

(SMM) Social Media Marketing kya hai

apne brand, product ya bhir apni website ko social media jaise facebook, Twitter, LinkedIn, Instagram youtube etc. par promote karna social media marketing kehlata hai, social media khas kar facebook online marketing kliay best platform hai.

ajj kal jis ka paas bhi mobile aur internet ki sahulat mujood woh facebook to use karta he hai, aap agar social media marketing karte hain to esse apko buht benefit mile ga,

Content Marketing kya hai

Content marketing me apne product promote karne kliay aur buyer ko attract karne kliay apne product ka related content create karna hota hai, yeh content image, text ya phir video me bhi hoskta hai. Example: agar aap apna koi product promote karte hain to iskliay aap aik ad type banner create karke usse promote karte hain to yeh content marketing he kehlay ga.

Digital Marketing Kaise kare

Digital Marketing me kaam karne kliay subse se pahle kisi aik compunent ko choose karen jisme aap interested hon phir usko achi trah learn karen, Digital marketing ka course hota hai aap chahen to is course ka zriay esse completely learn kar skte hai.

Digital Marketing me expert banne ka baad aap isme kaam karen. aap kisi aik compunent ka target karen aur uspar pora focus karen, ispar Mehnat, lagan aur mustaqil mizagi ka sath kaam karen insha allah aap sccess honge.

Mujhe umeed hai apko What is Digital Marketing in hindi post pasand ay hogi aur ab aap jaan gay honge ka Digital Marketing kya hai aur ispar kaam kaise kare, agar koi sawal hoto comment kijiay, yeh post pasand ay to social media par share kijiay, duaon me yaad rakhiay ga- Allah Hafiz
Previous Post Next Post