Email Marketing Kya hai Aur kaise kare

Email Marketing Kya hai- Kya app bhi apne business ya website ko promote karne kliay email marketing karna chahte hain to Don't worry is post me main apko bataunga ka  email marketing kaise kare, business ko promote karne kliay emails kahan se hasil karen aur email marketing ka benefits kya hai is ka elawa email marketing ki mukaml jankari kaliay yeh post read karen.

email marketing kya hai


Email Marketing kya hai?

Apna business ya website ya kisi bhi product ko email ka zariay promote karna email marketing kahelata hai, apne dekha hoga ka buht se companies ki traf se apko email ate honge jisme apko kisi company ka products ya phir kisi website ka post ka bare me notify kia jata hai, email me woh apne link bhi date hain jin par click karke aap unke website ko visit kar skte hain.

Email marketing kaise kare

Email marketing mukhtalif tarikon se ki jati hai apne aksar blog par dekha hoga ka aik news latter ka form laga hota hai jisme koi bhi apna email dal kar us website ko subscribe kar skte hain esi trah agar  aap bhi email ka zariay kisi website ko subscribe karte hain to jab bhi website ka owner new post publish kare ga to apko mail ka zariay uska notification mil jaiga aur direct email se aap unke website visit kar skte hai.

essi trah aap bhi apne site me subscription plugin add karke apne website ki traffic increase kar skte hain iska elawa agar aap affiliate marketing karte hain ya apna other business email marketing ka zariay promote karna chahte hain to iskaliay apko kuch emails ki zarorat parre gi jin par app apne products send kar sken buht se log emails ki list sell bhi karte hain app emails kisi se buy karen ya emails free me hasil karne kuch tricks hain jinme se aik trick  " emails kaise Extract kare" main apko is post me bata deta hon.


Email Marketing ka Benefit kya hain

Email Marketing ka sabse barra faida to yeh hai ka app bina paise kharch kia bilkul free me apna business promote kar skte hain, apne blog par news form laga kar apne blog par returning visiter barha skte hai jisse apke search rank me behtri ati hai aur app apne blog ki posts ko email marketing ka zariay promote kar skte hain jisse apka traffic buht ziada increase hojata hai, is ka elawa agar app chahen to is ka zariay affiliate marketing karke buht sare paise bhi kama skte hain.

Email Extract Kaise Kare

Sabse Pehle  chrome browser ka Aik extension hai Email Extractor esse apne browser me install Karen ab google me keyword ka sath ya Kisi name ka sath @gmail likh kar search Karen jaise Bilal@gmail.com to search result  me jo bhi email show honge wo apke chrome me jama hojain gay apne wahan se copy karke notepad me save Karne Hain iske baad ager is name ka result khatam hojain to apne kisi dosry name se search karna.

esse trah app aik hour kaam karen to ap buht sare email hasil kar skte hain, eske elawa agar app kum waqt me hazaron email extract karna chahte hain to iskaliay aik paid tool hai jis ki madad se app targeted keyword par only five minute me hazaron email hasil kar skte hain. but is tool purchase karne kaliay apko kuch paise kharch karne parre gay.

Ek Sath Buht Sare Emails par Mail kaise send kare

aap gmail per daily 500 tak email send kar skte hain but agar aap esse zida send karna chahte hain to aap aik se ziada gmail account ka use karen ek sath aik he message 500 email par send karne kaliay  sabe pehle gmail open karen, compose message me jain, subject aur message likhe, ab "To" ka agay apna email enter karen jisse app message send kar rahe hain, iske baad Bcc par click karen aur isme wo tamam email enter karen jin par aap mail send karna chahte hain, ab send kar den.

I hope apko ab pata chal gia hoga ka email marketing kya hai, email marketing kaise kare aur email marketing ka benefits kya hain, agar apko email marketing kya hai ka related koi question ho to comment kariay insha allah main apko jaldi answer dane ki koshish karonga.
Friends! Umeed hai ka apko Email Marketing kya hai post kafi pasand ay hogi to aap is post ko social site par share karna mat bholiay ga. duaon me yaad rakhiay ga. Allah Hafiz       
Previous Post Next Post