On Page SEO Kya hai - On-Page Optimization in Urdu Hindi

on page SEO kya hai- SEO optimization 2 types ka hota hai, on-page and off-page SEO is article me hum on-page ka bare me jane gay ka blog post ko google me first page par rank karwane me on page SEO kitna important hai, isme konsi technique use ki jati hai aur konse points par focus karna hota hai is ka elawa on-page SEO kya hai Aur Kaise kare ki A to Z jankari kaliay yeh post mukamal read karen.

on page seo kya hai

On page SEO kya hai

apne post, ko search engine me top par rank karwane kaliay post content ko optimize karna on page SEO kehlata hai, On page search engine optimization ka sabse important part hai. iska kaam post likhne se pehle shuru hota hai aur post publish karne tak jari rehta hai, blog post ko optomize karne kaliay isme kuch points par foucus karna hota hai jaise keyword research, keyword density, subheading, internal linking, img alt, permalink, meta description etc. 
yeh baat ache se apne mind me bitha lain ya ghusa lain ka on-page seo off-page seo se ziada importent hai isiliay apko isme ziada se ziada focus karna chahiay. agar apne apni post ki achhe se on page optimization ki hai to apki post google ya kisi bhi search engine me first page par easly rank hojai gi chahe app off-page seo bilkul bhi nahi karte, lakin agar apne on page me koi garbar  ki hai ya onpage ko ache se na kar pay to phir app jitne bhi backlink bana lain apke post rank nhi karne wali, So Ab jaan late hain ka onpage seo kaise kare. 

On Page SEO Kaise Kare

apne blog post ko acche se onpage optomize karne kaliay kuch technique ka use karna jo main apko neche on by on detail ka sath bataon ga, apne dhean se read karna hai takih koi bhi point aap se miss na ho pay.

1. Keyword Research
Article likhne se Pehle aap ne apne topic ka related kuch keyword research karne hai jinme se aik apka main targeted keyword hoga jis par aap apni post rank karwana chahte hain. keyword research karne kaliay google adword ka free tool keyword planner ka use karskte hain isme apko monthly searches (is keyword par month me kitni search hote hain), Competition (is kitne log kaam kar rahe hain), CPC (is targeted keyword par ad click par kitne paise milte hain) ka bare me bataya jata hai.
Aap hamesha ayse keyword ko target Karen jin par competition low aur searches ziada hon, kabhi bhi high competition keyword ko target na karen, isme chahe jitni bhi ziada searches hon isme apko traffic nhi mile ga kiunke ispar buht se logon ne posts ki hoti hain isiliay aap ispar rank nhi karskte.


Long tail Keyword Kya Hai?

Long tail keyword - aysa keyword hota hai jisme 2 ya 3 Word se ziada word hote hain jabke short tail keyword me zida se zida 3 word hote hain. example kaliay neche 2 keyword Short tail and long tail keyword mulahiza farmain.

Example:
Long tail Keywords:
On Page SEO Kya hai, What is On-Page SEO, Ya
On page SEO Optimization kya hai.
Short tail Keywords:
On page SEO


Note: app ne hamesha long tail keyword ka intekhab karna hain kiunke short tail keyword par rank karna buht hard hai jabke long tail keyword par app easily rank karskte hain
2: Keyword Density
keyword Density Basically Keyword Placement hoti hai, isme dekhna hai ka aap apne targeted keyword ko kis jaga use karte aur post me kitni baar repeat karna hai. iskaliay apko role ka mutabiq keyword Density par kaam karna hai, Ab jaan late hain ka apne targeted Keyword ko kis jaga aur kitni baar place karna hai.

Title- Sabse Pahle title ka starting me apne main keyword ko add kare agar starting me na ho ske to dermian me add kar skte hain lakin title ka end me hagiz nhi hona chahiay, top ranking kaliay title ka starting me targeted keyword ka hona buht zarori hai.

Permalink- me bhi main keyword ya usse related keyword ko zaror add karen.
Example: agar apka targeted keyword "On Page Seo Kya hai" hai to apka link kuch is trah hoga. yoursite.com/on-page-seo-kya-hai.

Post description- me apne pehle 50 word me apne main keyword ko add karna hai.

Sub Headings- H2 H3 H4 me bhi apne main keyword ko add karen. yeh zarori nhi ka app all subheading me apne main keyword ko repeat karen, balke aap keyword research ka duran kuch related keyword ko searh karen aur sub heading ka sath sath apne article me bhi inhe use karte rahe, ise trah aap multiple keyword par apne post ko rank karwa skte hain.

eska elawa aap apne post ka pahle 100 word me aur post ka end me apne targeted keyword ko use kare yeh to aap ne jaan lia ka targeted keyword ko kahan kahan use karna hai ab jaan late hain ka
post me kitni baar targeted keyword ko repeat kar skte hain.

Keyword Density ka hisab se app apne post me 1% se 1.5% tak main keyword ko use kar skte hain.
Example: agar apki article 300 word ka hai to app usme 3 se 4 martba apne main keyword ko repeat karskte hain. 
eska elawa aap apne keyword ka single word ko 3% tak use kar skte hain matlab agar apka keyword onpage seo hai to aap 3% onpage aur 3% seo ka repeat karskte hain.

3: SEO Friendly Post Title likhe

search engine me subse pehle visiter apke title ko dekhta isiliay apka title attractive hona chahiay take visiter subse pehle apke website ko visit kare. SEO friendly title likhne kaliay title me apne main keyword ko zaror likhe aur title me top,best, amazing, Super jaise words ka use kare ayse words apke title ko mazeed attractive banate hain. title ki lenth 50 to 70 word darmian honi chahiay.


4: SEO Friendly Post description likhe

apne post ka bare me achhe se description likhe meta description google me apke title aur permalink ka neche show hoti hai, aap kuch is trah se description likhe ka jo bhi user esse parhe wo apke site visit karne par majboor hojay iske elawa meta description me apne main keyword aur kuch related ka use karen.


5: Image Optimization

image ko optimize karen Seo friendly banane kaliay alt text ka use kare jaise apka keyword seo optimization hai to aap image ka name bhi kuch is trah set karen: "seo optimization.png" aur image alt tag me bhi apna keyword likhe is trah apko google image results se bhi traffic mile ga aur google ko bhi samjhne me asani hogi ka apki post kis bare me hai.

6: internal linking

Article me apne other post ka link add karen aur ayse post link add karen jo is article ka related hon.
takeh user in links par click karke apke dosry posts ko bhi read kare, jab bhi user apke aik page se
dosry pag par jata hai to isse apka bounce rate kaam hota hai aur apki ranking me behtri aati hai.
is ka elawa apne post external link bhi add karen jaise apki post me facebook likha hai to aap usko www.facebook.com link add karen, aysa karne se apki ranking strong hoti hai.


7: Sub Headings

apne article me H2 se H4 tak tarteeb ka sath subheading zaror dein aur subheading me apne main keyword ka sath kuch related keyword ka use kare, post ko rank karne me heading aur sab headings behtareen role play karti hain. yaah rahe ka apke post ka title already heading (H1) me hota hai apne article me subheading ka use karna hota hai.

8: Apne Blog Ki loading Speed fast rakhe

apke blog ki loading time kum se kum hona chahiay agar apka blog load hone me 4 sec se zida waqt lata hai to phir apko ispar kaam karna chahiay iskliay aap apne images ko compress kare aur apne blog se izafi widgets ko remove kare. apne blog ki speed test karne kaliay speed test tool ka use kare.


Final Words- i hope  aap jaan gay honge ka on page SEO kya hai aur kaise kare ab in techniques ko acche se follow karte howe aap ache trah se apne blog post optimize karskte hain aur google ka first  page par easily rank karwa skte hain.


Friends! I hope apko On page SEO kya hai post achhe lage hoge aur apkaliay kafi helpfull hogi, Aap is post ko social media par zaror share karen takeh dosry log bhi esse faida utha sken, agar is post ka related koi question hoto comment kijiay ga, Duaon me Yaad rakhiay ga- Allah Hafiz.
Previous Post Next Post