Youtube se Paise kaise kamaye

Bilal Dhuddi
Youtube se Paise kaise kamaye- is article me main ne detail k sath youtube se paise kamane ka tarike bataye hai. youtube se money earn karne kliay apko kin chezon ki zarorat pare gi, youtube se monthly kitne paise earn kar skte hain aur youtube earning kaise withdraw kare, youtube se kitne paise kama skte hain aur channel ko grow kaise kare yeh sab app is article me jane gy.

youtube se paise kaise kamaye

Youtube se Paise kaise kamaye

Youtube aik video sharing website hai, isme daily hazaron videos upload hoti hain aur billions log apni man pasand videos watch karte hain, youtube ka owner bhi google he hai iswaqt youtube world me google k baad sabse bara search engines hai jis par daily billions log search karte hain.
ajj k modern door me jadded tareen technology ne insan kliay buht se sahuliat peda kardi hain ab paise kamane kliay  khin jane ki zarorat nhi parti gher bethe he banda buht se dollor kama leta hai iswaqt dunya me online earning ka trend chal gia hai har koi gher bethe he paise kamana chahta hai aur buht se log monthly hazaron nhi balke lakhon dollars kama bhi rahe hain.

internet par paise kamane k buht se tariqe hain jin me youtube bhi income generate karne ka behtreen platform hai is par bhi buht se log monthly lakhon kama rahe hain. to app kiun nhi kama skte bilkul kama skte hain hazron dollars ghar bethe lakin tharia......

agar such me app youtube se paise kamana chahte hain to iskliay apko kafi mehnat karni hogi aysa nhi hai k app youtube par channel banaye, chand videos upload karen aur apki jeeb me paise ana shuru hojain aysa khial agar mind me hai to nikal dein. lakin han! aap mehnat karen to buht jald he successful ho skte hain.


Youtube se Paise kamane kliay kin chezon ki zarorat hai


1) Computer: Video editing aur channel management kliay apke pass computer ya laptop hona chahiay, agar apke pass computer ya laptop nhi hai to koi batt nhi app smart phone se bhi kam chala skte hain.

2) Internet Connection: Videos upload karne kliay apka internet connection fast hona chahia.

3) Youtube Channel: youtube par apna aik channel create karen iski achhe se setting karen logo aur channel art kisi achhe designer se design  karwa kar channel par lagain.agar apko channel banana nhi ata to yeh article read karen: Youtube channel kaise banaye

4) Video editing  Software: Sabse pehle to apko video editing ki basic jankari honi chahye, Professional video editing ka computer aur mobile kaliay kuch software hain ap inka use karskte hain.
Computer Ya laptop Kliay: Wondershare Filmora
Android Mobile kliay: Kinemaster

5) Camera: Video Record karne kliay aik acha se DSLR camera hona chahya lakin starting me app Mobile camera se bhi kam chala skte hain.


6) Voice Quality: Video ki Khobsorti uski voice me hoti hai app jitni bhi achi video record kar lein uski voice quality achi nhi hai to koi bhi apki video dekhna pasand nhi kare ga isliay apko apni videos ki voice Quality better se better karni hogi. iskliay ap koi accha sa micro phone buy kar lain.

5) Your Talent: Allah ne Har insan ko kisi na kisi cheez me talent dia hai. ap apne talent ko pehchane apko jis topic me interest hai aur apko lagta hai k ap is topic par achi videos bana skte hain to ise topic ko select karen, mehnat aur lagan se kaam start karen. insha allah jald hi successful hon gy. 


Youtube Se Earning kaise hoti hai

Youtube  se earning karne kaliay apko google ke  kuch rols follow karne hain.
sabse pehle apko apni unique videos create karne parte hain app kisi dosry ki copy ki hoi videos se earning nhi kar skte hata k ap kisi ka image aur audio bhi apni videos me nhi laga skte ap soch rahe honge k dosry youtuber to apni videos me dosron ki image aur pic wagera lagate hain

ap bhi laga skte hain lakin aysa nhi k ap jo image ya video chahen download karke apni video me lagain iskliay apko creative commons ki image, music ya video search karni hogi yeh apko youtube par bhi mil skti hain aur bhi kuch websites hain jin se ap creative commons video download kar skte hain. iske ilawa app youtube term & conditions read karen aur google ki polices k mutabiq kaam karen.


 Youtube se Paise kamane k tarika

Youtube se Paise kamane kliay 4 method use karskte hain yani youtube se 4 muhtalif tarikon se paise
 kama skte hain.

1) Google Adsense: youtube se Earning karne ka main tarika hai sub se ziada  youtubers google adsense se  paise kama rahe hain google adsense se earning karne kliay apko thora wait kana hoga.<

Google Adsense se Paise kaise kamaye: youtube se paise kamane aur monetization  on karwane ki limit hoti hai jise pora karne k baad apka channel paise kamane kliay ready hojata hai yani jab ap channel bana late hain

youtube partner program kliay verify karte hain aur video upload upload karte hain apke videos par view ana shuru hojate hain ab income start karne kliay apke channel par 1000 subscriber aur 4000 hour watch time complete karna hai tab jakar apki monetization on hogi aur apki earning start hojai gi.


2) Affiliate Marketing: online earning ka best zaria hai isse bhi app kafi income generate karske hain, sabse pehle apni videos k related Affiliate program join karen apna affiliate link generate karen ab us affiliate company ke products ka promotion karen aur apne referral links video k description me dal den ab koi bhi user apke referral link se unka ka product buy karega to apko uska commission milega agar app janna chahte hain k affiliate marketing kia hai aur is se paise kaise kamaye to hamari yeh post read karen: Affiliate Marketing kya hai

3) Sell Own Products: youtube par app apna online business bhi chala skte hain yani apne products ko sell karke paise kama skte hain, iskliay app apne products ki achi se videos banaye users ko apne products ke benefits k bare me bataye aur buying process ko clearly bataye take users ko buy karne me asani ho.

4) Channel promotion & Sponsorship: jab apke subscriber increase hojain aur apke videos par view ziada anay  lagain to app dosron k channel promote karke ya sponsorship lakar ache khasi income generate karskte hain. jo bhi new channel banata hai wo yahi chahta hai k unka chennel jaldi growth kare iskliay wo famous channel k owner se deal karta hai k app hamare channel ko promote karen iske badle me main apko itni ruqam donga. app bhi new banne wale channels par nazar rakhen aur uske owner se contact karen k app uska channel promote karna chahte hain ya buht se companies apne product ka promotion kliay Sponsorship deti hain just apko apni videos me apne users ko unke product me mutaliq batana parta hai jis k badle me apko kafi ruqam mil sakti hai.  

Youtube channel ko paise kamane kliay monetize kaise kare or  google adsense se link kaise kare

yotube channel ko monetize karne aur google adsense se link karne kliay yeh steps follow karen.
Step 1
youtube.com par jain aur login hon.
1: Top Side bar par right side me profile icon par click kare.
2: Creator Studio par click kare.
3: ab left side bar me channel par click kare.
4: Status and features oar click kare.
5: monetization me enable par click kare.


youtube se paise kaise kamaye

Step 2
Sabse pehle start par click kare, ab aik new popup window open hogi jisme youtube partener program ki term & condition k bare me bataya gia hai, app isse mukamal read kare aur neche check bar par check laga kar i Accept par click kare.

Step 3
Pehla process mukamal hai, ab google Adsense kliay apply kanra hai aur isse channel ka sath link karna hai, sebse pehle creator studio me channel aur status & features par click karen, monetization ko enable kare  ab process me sing up for adsense  ke agay start par click karen, next par click karen ab adsense ki site open hogi agar apke pass pehle se approved account hai to aur bhi achi bat hai app asani se ise apne channel ka sath link kar skte hain, agar apke paas  pehle approved account nhi to koi batt app new adsense account kliay apply karskte hain.

Step 4
thirh process hai Monotization preference set, is me apne adds ka format set karna hai k apke video me    konse adds aur kaise show honge. fourth process me apne channel par 1000 subscriber aur 4000 hour watch time complete karna hai, iske baad apka channel review me jaiga bhir apki monetization on hojai gi aur apki video me add show hona shuru hojain gy

youtube se kitne paise kama skte hain

youtube videos se kitni earning kar skte hain yeh apke views par depend karta hai iske elawa apki video kis country me ziada dekhi jati hai har country ka alag cpc hota hai agar apki videos par viewers ziada tar usa se aty hain to bhir app buht ziada earning karskte hain, pakistan aur india kia bat karen to in  me cpc buht low hota hai inme apko taqriban 1000 views ka 1$ milta hai lakin yeh bhi fix nhi apko isse kum ya ziada bhi mil skte hai. Youtube earning ko increase karne kliay ap ayse topic par videos banaye jin par chanle wale ads ka cpc acha ho aur ayse keyword ka use kare jin cpc hi ho ayse keyword app keyword planner se find karskte hain.  

youtube ki earning kaise mile gi

jab youtube se hamari earning start hoti hai to agla swal hamare mind me hota hai k hum youtube se payment kaise wasool kare, iskliay me apko 2 Method batata hon jin k zariay app youtube se payment wasool kar skte hain.
sabse pehle to me apko bata don k youtube and google adsense monthly pay karte hain aur payment withdraw karwane kliay apke account me minimum 100$ hona chahiay, chaliay ab google adsense se payment received karne k triqe jaan late hain.

1) Wire Transfer: iskliay apke pass aik bank account hona chahiay, app kisi bhi online branch me apna account kholwain aur unse bank ka name, holder name, swift code aur IBAN number etc hasil kare is k baad apne adsense account me jain, payment method me jain aur wire transfer ko select kare ab yahan par aik form khole ga apne yeh tamam information fill karni hain. ad jab bhi apke payment aygi to apke bank account me transfer kardi jai gi

2) Western union: yeh triqa buht hi asan hai isme apko kisi cheez ki zarorat nhi hai just apke pass apna ID card hona chahiay aur payment method me wo name add karen jo apke Id card me likha ho. jab bhi payment ay gi apko aik email received hoga apne uska print niklwa hai aur apne id card ki copy k sath kisi  bhi western union ki baranch se paise niklwa skte hain. mostly log isse method ka use karte hain.

youtube channel ko grow kaise kare

youtube channels ko grow karne aur jaldi top par lane kliay kuch secret tips apke sath share karna chahta hon agar jaldi kamyabi chahte hain to yeh tips Follow karen.

make some videos before create channel: agar apne abhi tak youtube channel create nhi kia aur app channel create karne ka soch rahe hain to Don't worry mery paas apkliay zabardast trick hai jisse apka channel jaldi grow hone k chances hain, sabse pehle app ache se planning kare k apka channel kis topic par hoga isme kon konsi videos honge, iska name kia hoga iske elawa app aik acha sa branded logo banain aur aik channel art, ab apne jo topic select kia uspar 15 se 20 achi se videos record karen aur best video editing se anhe professional banaye, yeh sab kuch ready hojane k baad apna channel create karen, 

channel settings karne aur loga, cover lagane k baad  apni banai hoi sabhi videos ko upload karen iske baad apne daily 2 se 3 videos upload kani hain agar yeh nhi kar skte to kum se kum aik video zaror upload karen isse apke videos jaldi rank karen gi jisse apke subscribers jaldi increase honge aur apka channel grow karta jaiga.

Invite friends: social media par apke jitne bhi dost hain unko apna channel subscribe karne kliay invite kare aur unse apne channel ko share bhi karwain starting me jitne ziada subscriber milen gy utna teezi se apka channel grow kare ga.
Promotion: app teezi se apna channel grow hota dekhna chahte hai to apke videos ka promotion buht zarori hai iskliay app social media k sahara le skte hain facebook, twitter, google plus etc par apne channel k name ka pages banaye aur apni videos k links share karen.

video promote karne ka sabse best triqa advertisement hai iskliay apko thore buht paise kharch karne paren gy, google adword k  zaria apne videos ko promote karen jitne ziada app paise kharch karen gy utne ziada apko views and subscriber milen gy, es trah aik he din me app buht sare subscriber gain kar skte hai.


Friends! Umeed hai k yeh post apkliay kafi helpfull hogi aur ab app jan gay honge k youtube se paise kaise kamaye aur youtube se paise kamane k tarike kon konse hain es k elawa apko youtube channel k hawale se A to Z information aik he post me mil chukki hai mezeed maloomat kliay hamari website ko visit karte rehna, agar is post k related koi question ho to comment karna aur is post ko social media par zaror share karna take dosry log bhi isse help le saken duaon me yaad rakhia ga- Allah Hafiz.