Android Mobile Root Kaise kare? What is Rooting

Android Mobile Root Kaise kare? Agar Aap Android Mobile use karte hain to Rooting ka bare me to Aap Jante he honge nhi nhi jante to ab Aap jaan Jain gay ka Android mobile me Rooting kya hai, Mobile root kiun karte hain, Android Mobile Root karne ka faide konse hain aur Nuqasan konse haina aur android mobile ko computer ka bagher root karne ka asan tarika janne kliay yeh post mukamal read karen.

android mobile kaise root kare

Android Mobile Phone me Rooting kya hai?


Android Mobile se Company ka Official OS (Operating System) ko Replace karke aik new OS Dala Jata hai jo ka Developers ki janib se Modified kia howa hota hai, isse OS ki Tabdeeli ka procces ko rooting kaha jata hai.

Jab Aap Apne Phone ko Root kar late hain to Aap Company ki janib se Lagai janne wali Pabandion se azad ho jate hain aur app jis trah chahhen apne mobile ko use kar skte hain aur usme jis trah chahen apna hisab se tabdiliay kar skte hain. Aap apne phone ki Ram Barhana Chahen ya Aap chahen to Defult apps ko Uninstall karke apne phone ki Memory Boost kar skte hain.

Play Store par ayse buht se apps Available hain jinko Root ka bagher access nhi kia ja skta, agar aap bhi ayse apps use karte hain to apko apna phone Root karna parre ga. Yeh to aap jan chuke hain ka Android mobile me root kya hai, ab jaan late hain ka android mobile ko root karne ka faide aur nuqsaan kia hain.

Android Phone ko Root Karne ka faide
1. UI Change: Rooted Mobile ka Faide ke baat karen to aap apne phone me jo chahen kar skte hain, Agar apko android ka bare me thori buht jankari hai to aap iska UI (user Interface) Replay karke apne Mobile ka Look aur better bana skte hain.

2. Access Any apps: Buht se apps ayse bhi hote hain jika use karne kliay apke Devices ka Rooted hona zarori hota hai nhi to aap in apps ko use nhi kar skte, Rooted mobile ka yeh bhi faida hai ka usme koi bhi aap use kar skte hain, aur aap chahen apne mobile me custom Font bhi Install kar skte hain.

3. Ads Free Apps: Hum paly store se jo bhi free apps install karte hain to unme buht se ads show hote hain jiske karan mobile phone hang hone lagta hai to rooted device me hum Ads Free Apps use kar skte hain jisse hame ads se chutkara mil jata hain.

4. Boost Your Mobile Phone Memory & Speed: Mobile root karne ka baad Aap apne Phone ko boost kar skte hain, mobile me pahle se buht se Default apps hote hain jinko hum uninstall nhi kar skte but Rooted mobile me hum in apps ko install karke apne phone ki Memory barha skte hain aur isse hamaray mobile ki speed bhi Increase ho Jay gai. iske elawa hum apne Rooted Phone me Custom Rom bhi Install kar skte hain Jisse hamein aur bhi buht sare option mil jate hain.

Android Phone ko Root Karne ke Nuqsan
Android Mobile ko root karne nuqsan ki baat karen to subse pehla nuqsan yeh hai ka apke Mobile Phone ki Warranty khatam ho jati hai kiunke aap apne phone ki security lock toor kar root tak jate hain.

root karte waqt apka phone deat hoskta isiliay apko dhehan se aur sanbhal kar mobile ko root karna hai iske elawa Phone ko root karne ka baad apko company ki taraf se koi latest OS Verison nhi mile ga aap sirf custom OS Install kar skte hain. Rooted Phone me Wallet ka Related koi app work nhi kare ga.

Agar aap in faide aur nuqsan janne ka baad apna phone root karna chahte hain to mein apko bata deta hon ka Android Mobile Phone ko root kaise karte hai, Aap ne in Steps ko dehan se follow karen.

Android Mobiile ko root kaise kare (without PC)
Agar apke Pass Computer nhi hai to Phir apne Mobile Phone se Bhi apne Phone root kar skte hai, iskliay apko aik apk Download karni hogi, Mobile se Mobile root karna buht he asan hai aur safe bhi hai, So apne Phone ko root karne kliay yeh steps follow karen.

Step 1:
Sabse Pahle Aap ne apne Phone Kingo root apk download karni hai, king o root Download karne kliay Nech Download par click karen.

Step 2:
Download ho jane ka baad kingo root ko install karen. Install karte waqt apko "Install Blocked" ka popup message aaskta hai, Aap Setting par click karke "Unknown Sources" Enable karen.

Step 3: Install hojane ka baad king root ko open kijiay, Center me aik root ka option ayga uspar click karen.

Step 4: Ab kuch is trah ka process start hoga, 100% Complete hone par apka mobile phone root ho jayga.


Mobile se root karne par apka phone reb0ot bhi ho skta hai lakin tention ki koi baat nhi ab apka mobile phone root hogia hay, yeh to aap jaan gay honeoka mobile se root karna kitna easy hai.

I hope apko yeh post kafi achi lagi hogi aur ab Aap jaan chuke honge ka Android mobile kaise root kare, Agar apko yeh post pasand aay to Social Media par zaror Share karna takeh dosry lo bhi isse faida utha sken, agar is post ka related koi question ho to Comment Kijiay, Duaon me yaad rakhiay ga- Allah Hafiz.

Previous Post Next Post