SQ3R Method in Urdu - Best Reading Studying Techniques

SQ3R Method in Urdu- Aksar students ko preshani rehti hai k wo jo kuch yaad karte hain wo jald hi bhol jate hain books parh parh k thak jate hain lakin exam date waqt kuch likhne k bjai pen munh me rakhe paper k time khatam hone ka intzar karte rehte hain. 


so is pareshani ko door karne k liay ajj hum sq3r method lai hain jis ki madad se app na sirf apni parhai ko lambe arse tak yaad rakh pain gy balke apko chapter samjhne me bhi asani hogi. is method se sirf student nhin dosry log bhi faida utha skte hain jo apni knowledge barhane k liay kitabon ki khak chante rehte hain ab jaan late hain sq3r method hai kia cheez.

sq3r reading method

SQ3R Method - Best Reading Studying Techniques

parhai k tarikon par research k bad aik tarika develop kia gia jise sq3r method kaha jata hai sq3r method ko kuch part me taqseem kia jata hai. jis me pehla  hai:  
S= Survey    Q= Question   R= Reading   R= Recite  R= Review

in parts par app ne mazeed  teen hison me kaam karna hai    
1. before reading   2. during reading    3. after reading
aap ne in parts me se survey aur question par chapter parhne se pehle kaam karna hai read aur recite par chapter parhne k doran aur review par chapter parhne k baad kaam karna hai. ab in parts ko thora detail se jaan late hain


Parts of SQ3R Method

1. sarvey 
is me app ne jaiza lena hai k jo bhi artical ya chapter app read karne wale hain is ka title kia hai sub titile kia hai heading subheading aur paragrafh ko bhi aik nazar dekh lena hai agar koi picture ya table wagera de hoi hai to app ne us ko bhi dekh lena  hai.
sarvey me app ni sirf yahi kaam karna aur kuch nhi.  app is kaam 4 5 marta kar lein to behtar hai.

2. question
is me aap ne khud se sawal bane hain k yeh chappter kis bare me hai, yeh apke liay parhna kiun zarori ha , is me aap ko kia mil skta hai aur sarvey me ap ne jo app ne title sub title heading dekhe thy is k mutaliq app ne kuch sawal bana lane hain. 

is se apko aik fida to yeh mila ga k apko pta chal jai ga k kia cheez parhni hai, kia cheez chorni hai kia cheez zarari hai ,kia zarori nhi hai aur kis cheez par app ne zidada focs dena dosra yeh k jo bhi cheez aap k kaam ki nhi hai jo exam me nhi aati aap use ignor kar skte hai.

3. Reading
is me app ne read karna hain aur ayse read karna hai k qustion me ap ne jo sawal banay thay un ka jawab dhondna hai aur reading k doran app ne yeh dekhna hai k konse konse topic  par focus kia ja rha hai apke samne buht se ayse baten bhi ain gi jin ka sawal apne nhi kia tha to in ko bhi app ne sawalat me likh lena hai is trah k koi app se is information bare poche to who app se kisa sawal kare ga. to reading me app ne apne in sawalon k jawab dhondne hain.

4. Recite
question me app ne jo sawalat kia thy aur reading me app ko un k jo jawabat mile thay ab recite me app ne un ko unchi awaz me parhna hai agar app unchi awaz me parh nhi skte to app anhen likh lein jo bhi cheez app apne apko batate hain ya likhte hai wo apke zehan me naqsh ho jati hai.

5. Review
is me app ne jaiza lena hai k jo app rading us me apko sub sawalon jawab mil gai hain ya kuch k nhi mile apko kuch sawalon k jawab nhi mile to is k liay app google ya wikipedia ki madad le skte hain. to is trah app jo bhi content read karen gy to wo apke zihan me naqsh hojai ga aur lumbe arse tak yaad rahe ga. yeh tha sq3r method umeed app samjh gai honge aur app is apne habit ka hisa bnain insha allah apko misbit results milen gy
I hope apko yeh post kafi achi lagi hogi aur aap kliay kafi useful hogi, agar is post ka related koi question ho to comment kijiay aur yeh post pasand aay to share kijiay takih dosry log bhi isse faida utha sken. Duaon me Yaad Rakhiay ga. Allah Hafiz.




Previous Post Next Post